Showing posts with label dard. Show all posts
Showing posts with label dard. Show all posts

mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya…
aawaz mein tha chupa gam tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…

jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

Kya log they ke jaan se barrh kar aziz they

Kya log they ke jaan se barrh kar aziz they
Ab dil se kahu naam bhi aksar ke kho gaye
Ae yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein
Ae dard e hijr hum bhi to pathar ke ho gaye

Jaate jaate wo achhi nishani de gaye

Jaate jaate wo achhi nishani de gaye,
Umar bhar dohra sakun aisi kahani de gaye,
Hum to reh gaye pyase,
Par hamari palkon ki kataron ko wo pani de gaye…
MAC Nail Lacquer - Love & Friendship